|
Bhasha Stuti
Tum tarantaaran bhavnivaran, bhavikaman anandnou
Shri naabhinandan jagatvandan, aadinath niranjano
Tum Aadianaath anaadi seoon, sey padpooja karun
Kailash giri par Rishabh jinvar, padkamal hirden dharun
Tum Ajitnath ajeet jeete, ashtkaram mahabalee
Yah birad sunkar sharan aayo, kripa keejyon nath jee
Tum chandravandan su chandralachan chandrapuree parameshavaro
Mahaasennandan, jagat vandan chandranaath jineshvaro
Tum Shaanti paanch kalian poojon, shubhmanvachkay joo
Durbhiksh chori paapnashan, vighan jay palaay joo
Tum Balbrahma viveksaagar, bhavay kamal vikaashno
Shri Neminaath pavitra dinkar, paaptimir vinaashno
Jin tajee raajul raajkanyaa, Kaamsenya vaash karee
Chaaritrarath chadi bhaye dulha, jay shivarmani baree
Kandarp darp susarpalanchan, kamath shath nirmad kiyo
Ashvasennandan jagatvandan sakalsangh mangal kiyo
Jindhari baalkapden deeksha, kamath maan vidaarkai
Shri Paarshvanaath jinendra ke pad, main namon shirdhaarkai
Tum karmadhaata mokshdaata, deen jaani dayaa karo
Siddharthnandan jagatvandan, Mahaaveer jineshvaro
Chatrateen sohai surnar mohai, veenatee ab dhaariye
Kar jodi sevak beenvai prabhu, aavaagaman nivaariye
Ab hoou bhav bhav swami mere, main sadaa sevak rahou
Karjod yo vardaan maangoon, mokshaphal jaavat lahou
Jo ek maahin ek raajain, ek maahin anekno
Ik anek kee naheen sankhyaa, namoon siddha niranjano
Choupaaee
Main tum charan kamal gun gay, bahuvidhi bhakti karon manlaay
Janam janam prabhu paaun tohi, yah sevaphal deeje mohi
Kripa tiharee aesee hoy, jaaman maran mitavo moy
Baar baar main vinatee karu , tum seye bhavsaagar tarun
Naam let sab dukh mit jay , tum darshan dekhyo prabhu aay
Tum ho prabhu devan ke dev, main to karun charan tav sev
Jin pooja tai sab such hoy, jin pooja sam aur na koy
Jin pooja tai swarg vimaan, anukrama tain paawe nirvana
Main aayo poojan ke kaaj, mero janam safal bhayo aaj
Pooja karke namaau sheesh, mam apradh shamahu jagdeesh
Dohaa
Sukh dena dukh metnaa, yahi tumhaari baan
Mo gareeb kivinatee, sun leejyo bhagwan
Poojan karte dev kee, aadi Madhya asaan
Surgan ke such bhogkar, pave moksha nidaan
Jaisi mahimaa tumvishai, aur dharai nahin koy
Jo sooraj main jyoti hain, nahi taaraagan soy
Nathh tihaare naam tain, aadh chhinmaahin palaay
Jyondinkar prakaash tain, aandhkarvinaashay
Bahut prashansaa kyaa karun , main prabhu bahut ajaan
Poojavidhi jaanu nahin, sharan raakhi bhagwaan
|